Kyun

Jab bikhra tha ye jag sara
Jab mila tha na koi sahara
Koi us hi bheed se aakar
Deta sabko tha sahara

Aj wo hi tuta hua hai kyu
Hmm....Sare jag se rutha hua hai kyu
O...Nain uske ashko se bhare hai
Pal Pal barasne mey lage kyu

Kyu na de use koi bhi sahara
Kyu hai,wo ab khud hi ko jag se hara

Hmm..
Ummeed hai aega koi
Usko bhi uthaega koi
Dil mey bharke wo dilasa
Ho gaya kyu itna ruhasa

Raah mey bhatakta phir raha kyu
Hmmm...Sabka tamasha ban gaya kyu
O..Sajishe jo kismat ne kari hai
Unke tale hi hai daba kyu

Kyu ye,duniya itni matlabi hai
Jane sab kuch par anjani khadi hai

Jab badhne lagi gum raatein
Or thamne lagi phir saansein
Koi us hi bheed se aakar
Failane laga ab baahein

Jaise koi chamkeela sitara
Hmm...tanha gagan ko karde pyara
O..Barishe jo tan tarr kar gyi hai
Soonepan mey khushiyan bhar gayi hai

Ye pyara,dekho nazara khushnuma hai
Khuda ne akar ek taufa jo dia hai

Hmm..
Kehta wo fir bhi yahi hai
Kitne bhi julm hojae
Koi apni raah bhatak kar
Manzil se kho na jae(x3)