Ghut Ghut Ke

Mano na mano,par ye tum bhi jano
Ke duniya badi nasamajh hai
Karoge jo dil ki,to kehte hazaro
Ke rahe tumhari galat hai
Deeware uthake kahe kyu
Ke bas ek wohi sahi hai
Samajhte nahi hai hume kyu
Ke tange adae khare hai

Mai kehta gaya,par tha bezuban
Main sehta gaya,par raha unsuna

Main ghut ghut ke jee raha hu
Main ghut ghut ke chal raha hu
Ye duniya ki zalim si rahe
Main ghut ghut ke jee raha hu
Main ghut ghut ke sun raha hu
Ye duniya ki kadwi si batein

Jano zara tum mere dil diwano
Ye dil se suno na kahani
HO barish,ho toofan,ya ho dhoop chayi
Par izzat na dena gawani
Suna dena unko kahe jo
Janam ek bas hai tumhara
par jeena ise to hume hai
Ke dil ka hum hi hai sahara

Mai kehta gaya,par tha bezuban
Mai sehta gaya,par raha unsuna

Main ghut ghut ke jee raha hu
Main ghut ghut ke chal raha hu
Ye duniya ki zalim si rahe
Main ghut ghut ke jee raha hu
Main ghut ghut ke sun raha hu
Ye duniya ki kadwi si batein